Thursday, January 12, 2012

Woh Abbar Meray Dasht e Tamana Mai Utarta


  • Woh abar meray dasht-e-tamana mai utarta
  • Ay kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta
  • Kirnoon ki dhanak ourh kay ek rooz achanak
  • Woh mujh se bichar kar meri dunia mai utarta
  • Ek aks meray dil ke darechay mein dharakta
  • Ek khwab meri ankh k sehra mein utarta
  • Be noor na rahti shab-e-hijraan ki hatheli
  • Woh jan-e-dua dasht-e-tamana mai utarta..
  • Woh chand kisi mehal ke khowaboon ka muqadar,
  • Kyon meray bujhay ghar ki tamana mai utarta..
  • Javaid kisi shab meray khowaboon ka musafir,
  • Ankhoon se nikal kar dil-e-tanha mai utarta..


No comments:

Post a Comment

You might also like:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...