Thursday, January 12, 2012

Unke Ane ka Imkaan Hai khuda Khair Kare


Unke ane ka imkaan hai khuda khair kare,
Dil pe guzre ga ye tufaan khuda khair kare,

Wo tu hain unche mehlaat k rehne wale
Or mera ghar hai bayabaan khuda khair kare,

Wo yeh kehte hain es baar judai ho gi,
Main yeh kehta ho meri jaan khuda khair kare,

Maine mangi hai wafa or wafa k badle,
Unhon ne mangi hai meri jaan khuda khair kare.

No comments:

Post a Comment

You might also like:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...