Wednesday, January 18, 2012

Mere Hum Safar Mere Hum Nasheen



Mere hum safar mere hum nasheen
Me ne Rab se manga to kuch nahi
Me ne jab bhi mangi koi duaa
Nahi manga kuch bhi Tere Siwa
Ye talab kia ke mere Khuda!
Sabhi rahatain
Sabhi chahtein
Wo attaa kare tujhe manzilen
Ye talab kia k mere Khuda!
Tujhe bakht de
Tujhe taaj de
Tujhe takht de
Mere hum safar
Mere chara gar
Ye hai dosti ka kathin safar
Mere sath chalna zara soch kar
Zara dekh to mera hosla
Mere paas jo bhi wo hai tera
Nahi Or Kuch Bhi taire Siwa
Meri dosti
Meri zindagi
Meri khamoshi
Meri be basi
Mera ilm bhi
Mera naam bhi
K meri subah
Meri shaam bhi
Ke jo mil sakein mere daam bhi
Wo sabhi kuch tujhe attaa kare
Mere chara gar tu yakin to kar
Mujhe mangna to na aa saka
Me ne phir bhi mangi yehi dua
Ke gawahi de ga mera Khuda
Me ne jab bhi us se talab kia
Nahi manga kuch bhi Tere Siwa.



No comments:

Post a Comment

You might also like:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...