Mera tumse aesa rishta hai
Khawb ka jo tabeer se hai,
Sheeshe ka jo tasveer se hai
Sachayi ka jo zameer se hai
Qaidi ka jo zanjeer se hai
Samundar ka jo mahi-geer se hai
Ranjhey ka jo heer se hai,
Mera tumse aesa rishta hai
Chaand ka jo raat se hai,
Saawan ka jo barsat se hai
Dil ka jo barsaat se hai
Dil ka jo jazbaat se hai
Mausam ka jo soghaat se hai
Jeet ka jo maat se hai
Takdeer ka jo halaat se hai
Mera tumse aesa rishta hai
Pyar ka jo iqraar se hai
Dukh ka jo izhaar se hai
Sharaab ka jo khumaar se hai
Nafrat ka jo pyaar se hai
Jeet ka jo haar se hai
Til ka jo rukhsaar se hai
Mera tumse aesa rishta hai
Kaantey ka jo phool se hai
Insaan ka jo bhool se hai
Raah ka jo dhool se hai
Dua ka jo kubool se hai
Ilm ka jo husool se hai
Kitaab ka jo Rasool se hai
Mera tumse aesa rishta hai
Bahaar ka jo chaman se hai
Nigaah ka jo hussan se hai
Pardesi ka jo watan se hai
Justuju ka jo lagan se hai
Choli ka jo daaman se hai
Yadon ka jo saawan se hai
Mera tumse aesa rishta hai
Dard ka jo ehsaas se hai
Sehraa ka jo pyaas se hai
Ghareeb ka jo aas se hai
Dard ka jo paas se hai
Jism ka jo libaas se hai
Gham ka jo Waqaas se hai
Mera tumse aesa rishta hai
Mera tumse aesa rishta hai
No comments:
Post a Comment